woh kyun khaamosh rahetaa hain

Monday, March 9, 2009

Main nahi kahetaa ab to ye jamaana kahetaa hain,

Khushiyaan bikher ne wala ab tanhaa rahetaa hain,

Saare shahr men charcha hai meri hatheli dekh ke,

Kaisi ye lakeeren paai har gum akele sahetaa hain,

Dard mahsoos huaa jo logon ne ise kartab samajha,

Aankhon se meri ashqon ke sath lahu bahetaa hain,

Ek taraf paa’on ke tale se zameen fisalti jaati hain,

To duji or sar pe mere pura aasmaan dhahetaa hain,

Meri bebasi hai ‘yogs’ main rab ko na mana paaya,

Sab jaan kar bhi woh kyun khaamosh rahetaa hain.


yogs....

0 comments:

Post a Comment

  © Blogger template Brownium by Ourblogtemplates.com 2009

Back to TOP