Saturday, 18 April, 2009

Tere gam

Rah gayi thi,kuch nishaniya,teri kabar par lotate dam na nikla

Loate jab teri kabar se.aankho ke dariya se do bund gam na nikla

Tere gam mai kyu, anshu bhane se katrane laga

Pathar dil hu na,aaj tera gam chhipane laga

Kitni mohabat karti thi,pahchne pe bho mukam na mila

Loate jab teri kabar se.aankho ke dariya se do bund gam na nikla

Dekha jab pichhe mudkar,tere sath gabara laga

Chhoda jo hath tumne,sath gujra lamha pyara laga

Thoda sa intjar kar lati,ye pather dil bhi kam na pigala

Loate jab teri kabar se.aankho ke dariya se do bund gam na nikla

Kaise gujare zindgi ko,aaj etna akela laga

Tere bin nesh ko jiban aadura sa laga

Mili ushko saja, jamane mai koi badnasib na hoga ham sa akela

Loate jab teri kabar se.aankho ke dariya se do bund gam na nikla

Friday, 27 March, 2009

bas ek aas hain......................

हर एक लम्हा मुझे तेरी कमी का एहसास हैं,
खुशियाँ दूर हो गई मुझ से गम मेरे पास हैं,

ये आँखें तेरे आब-ओ-रंग से थकती ना थी,
इन् कें लिए भी अब आब-ए-चश्म ख़ास हैं,

दिल मेरा जो इश्क में आवारा हो चुका था,
आज-कल गुम-सुम रहना उसे बड़ा रास हैं,

कभी रूक के कभी तेज़ अब इसपे काबू नहीं,
पाबन्द थी जो साँसे सिने में अब खलास हैं,

उम्र-ए-खिज्र मेरी तनहा गुज़री हैं ‘योग्स’,
दम उसकी बाहों में निकले ये एक आस हैं.

yogs....

***********************************

Har lamhaa mujhe teri kami kaa ehsaas hain,
Khushiyaan mujh se door aur gam paas hain,

jo aankhen tere aab-o-rang sen thakti naa thi,
Inn ken liye bhi ab aab-e-chashm khaas hain,

Dil mera jo ishq mein aawaraa ho chukaa tha,
Aaj-kal gum-sum rahanaa use bada raas hain,

Kabhi rook ke kabhi teyz ab ispe qaaboo nahi,
Paaband thi saanse sine mein ab khalaas hain,

Umr-e-khijr ab tak tanhaa guzari hain ‘yogs’,
Dam uski baahon mein nikle bas ek aas hain.

yogs....


aab-o-rang : Attraction, Charm, Glory, Splendour
aab-e-chashm : Tears
raas : Acme, Agreeable, Like, Suitable
Paaband : Limited, Restricted, Subjugated
Khalaas : Deliverance, Redemption, Freedom
Umr-e-khijr : Everlasting Life
aas : Desire, Faith, Hope, Longing, Refuge, Shelter

Thursday, 26 March, 2009

hi

Jismo se na bante hai rishte,ye tho ruho ka fashana hai
Do pal khel ke chale jana ,ye tho ek bhana hai !!

Tum meri ho,mai tumhara hu ----2
Dil lagane ko, ye tho kahta sara jamana hai !!


Nesh

Monday, 16 March, 2009

yu kabhi -kabhi

yu kabhi -kabhi ,yu sochata hai
yado me tumhe hi dhudhuta hai

najar aaoge tum jidar
mujhe tum bahi paoge
kabhi mai na jo kah saka
bo ek pal me kah jaoge
dil ye,eshe chupke se
pyar bh bate kahta hai

mosme bahar un lamho ke
phir sath lot ke aayege
aa jao sanam baaho me
teri ham sim t jayege
bate ye sapno ba li jane
rab pura kab karta hai

rutha hua bo pyar
uljhe hua sabaalo me
kuch dhua aur ankahi
baatho ke bbaalo me
uthe hua kadmo ko jane kya
janjir banke rokta hai


yado ke manjar, jo gujar gaye
yu hamko state rahege
chnd labhjo ki zindgani
ham yu sath bitate rahege
aaine me aks bhi kyu
rja teri ko ab tokta hai

Saturday, 14 March, 2009

yaad bankar aaunga main.................

Baheta pani hoon kisi ke roke na rook paaunga main,
Lekin jahaa se modoge wahin se mood jaaunga main,

Aaine sa saaf hoon main dil men koi raaz nahi rakhta,
Toot kar bhi har tukde se sachchai hi bataaunga main,

Aasman pe chha jane ka khwaab dil men rakkha hain,
Chand na ban saka to sitara ban jag-magaaunga main,

Na to soor ki samajh hain koi na hi saaz ki pahechaan,
Phir bhi duniya jhoom uthe aise nagme gaaunga main,

Wadaa hain mera tumko kabhi tanhaa na hone dunga,
Jo mar jaaun to bhi dil men yaad bankar aaunga main.

yogs....

maine sab gavaa diyaa.............

Tujhe paane ki koshish mein sab gavaa diyaa,
Dard jab had se gujraa naam use davaa diyaa,

Puchh kar yun naa rook kitne sitam du tumko,
Shaayad suna nahi maine jawaab savaa diyaa,

Aazmaaish na kar khushi ka dip bujhane mein,
Phoonk hi kaafi hai tune tohfaa-e-havaa diyaa,

Khudaa se tere saath thodi tanahaai mangi thi,
Tanhaa duniyaa di aur mausam-e-navaa diyaa,

Faryaad kyun kare ‘yogs’ aur sunega bhi kaun,
Tu naa qaabil tha uss ke jo kuchh gavaa diyaa.

yogs....

Monday, 9 March, 2009

woh kyun khaamosh rahetaa hain

Main nahi kahetaa ab to ye jamaana kahetaa hain,

Khushiyaan bikher ne wala ab tanhaa rahetaa hain,

Saare shahr men charcha hai meri hatheli dekh ke,

Kaisi ye lakeeren paai har gum akele sahetaa hain,

Dard mahsoos huaa jo logon ne ise kartab samajha,

Aankhon se meri ashqon ke sath lahu bahetaa hain,

Ek taraf paa’on ke tale se zameen fisalti jaati hain,

To duji or sar pe mere pura aasmaan dhahetaa hain,

Meri bebasi hai ‘yogs’ main rab ko na mana paaya,

Sab jaan kar bhi woh kyun khaamosh rahetaa hain.


yogs....