"Benaam Sa Ye Dard"

Saturday, May 26, 2007

"Benaam Sa Ye Dard"

By Neha Parikh

Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon NahinJata
Jo Beet Gaya Hai,Woh Guzar Kyon Nahin Jata

Sab Kuch Toh Hai, Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein
Kya Baat Hai, Mainn Waqt Pe Ghar Kyon Nahin Jata

Woh Ek Hi Chera Toh Nahin Saare Jahan Mein
Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahin Jata

Main Apni Hi Uljhi Hui Rahon Ka Tamasha
Jate Hain Jidhar Sab Mainn Udhar Kyon Nahin Jata

Woh Naam Jo Na Jane Kab Se, Na Chehra Na Badan Hai
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata"

Read more...

aa.Nkh se duur na ho dil se utar jaayegaa- Written by Ahmed Faraz sahaab

Friday, May 25, 2007

aa.Nkh se duur na ho dil se utar jaayegaa
vaqt kaa kyaa hai guzarataa hai guzar jaayegaa

itanaa maanuus na ho Khilvat-e-Gam se apanii
tuu kabhii Khud ko bhii dekhegaa to Dar jaayegaa

[maanuus=intimate; Khilvat-e-Gam=sorrow of loneliness]

tum sar-e-raah-e-vafaa dekhate rah jaaoge
aur vo baam-e-rafaaqat se utar jaayegaa

[sar-e-raah-e-vafaa=path of love; baam-e-rafaaqat=responsibility towards love]

zindagii terii ataa hai to ye jaanevaalaa
terii baKhshiish terii dahaliiz pe dhar jaayegaa

[ataa=gift; baKhshiish=donation; dahaliiz=doorstep]

Duubate Duubate kashtii to ochhaalaa de duu.N
mai.n nahii.n ko_ii to saahil pe utar jaayegaa

[ochhaalaa=upward push]

zabt laazim hai magar dukh hai qayaamat kaa 'Faraz'
zaalim ab ke bhii na royegaa to mar jaayegaa

Contributed by Saqib

Read more...

अभी aur bhi hai baki raaho.N main

Thursday, May 24, 2007

Dear friends,
maine bahut koshish ki thi ki holidays par jane se pahile main is list ko puri tarah update kar doon aur sabhi ka kaam aur naam isme shamil kar loon, lekin mumkin na ho saka aur waqt aa gaya hai mere jane ka , doston jinka naam bhi list main na mile yaa aapki post usme update na ho to use aap meri samay ki kami samjh kar maaf kar dijiyega

8th june meri wapisi ke saath hi main ise update kar dungi i Promise

umeed ki meri is galti ko aap sab dil se nahi lagayenge aur intezaar karenge ki main apna kaam pura karke aap sabke samne rakh sakun.




with love
shrddha

Read more...

haath uThe hai.n magar lab pe duaa ko_ii nahii.n- Ahmed Faraz

Wednesday, May 23, 2007

haath uThe hai.n magar lab pe duaa ko_ii nahii.n
kii ibaadat bhii vo jis kii jazaa ko_ii nahii.n

[duaa = prayer; jazaa = reward]

ye bhii vaqt aanaa thaa ab to gosh har aavaaz hai
aur mere barbaad-e-dil me.n sadaa ko_ii nahii.n

aa ke ab tasliim kar le.n tuu nahii.n to main sahii
kaun maanegaa ke ham me.n bevafaa ko_ii nahii.n

vaqt ne vo Khaak u.Daa_ii hai ke dil ke dasht se
qaafile guzare hai.n phir bhii naqsh-e-paa ko_ii nahii.n

[dasht = desert/wildnerness; qaafile = caravans]
[naqsh-e-paa = footprints]

Khud ko yuu.N mahasuur kar baiThaa huu.N apanii zaat me.n
manzile.n chaaro.n taraf hai raastaa ko_ii nahii.n

[mahasuur = surrounded; zaat = self/one's personality]

kaise raasto.n se chale aur kis jagah pahu.Nche 'Faraz'
yaa hujuum-e-dostaa.N thaa saath yaa ko_ii nahii.n

[hujuum = crowd]

AHMED FARAZ

Read more...

Tuesday, May 22, 2007

"TUM"

By Neha Parikh

Yeh pal pal ka chalna,
fasla khatam na karega,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe woh kal na milega!

Yeh koi gaata hai,
ya namaaz padta hai,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe alag khuda na milega!

Yeh guzarti hui raat hai,
ya nikalti hui sehar,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe humsafar na milega!

Yeh Baarish ki boondein hain,
ya aankhon ke aansoon,
Tum kitna bhi chaho,
inhe thaamne wala na milega!

Yeh dil ke tukde hain,
ya aap ki yaadein,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe marham na milega!

Yeh dil mein armaan hain,
ya sulagte hue sholey,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe sehra mein paani na milega!

Yeh kaisi uljhan ban gayee hai,
dil ki dhadkan,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe sukoon na milega!!"

Read more...

  © Blogger template Brownium by Ourblogtemplates.com 2009

Back to TOP