ek shaam saaki ke naam..........

Thursday, December 25, 2008

Saaki hoNsh baaki hai ek aur jaam ho jaaye,
Tere maikhaane men ek aur shaam ho jaaye,

Gam-e-ishq ka mara aur dunia ka sataya hu,
Ek jaam aisa ho zindagi ko aaraam ho jaaye,

Teri mahafil men hi gam ko kam paata hoon,
To charcha kyun na ye sar-e-shaam ho jaaye,

Teri panaah men mujhe jo nayi zindagi mili,
Chal khuda jaisa tera bhi koi naam ho jaaye,

Is dunia men wafaa soch samaj ke hi karna,
Kahi meri tarah tu bhi na badnaam ho jaaye,

Ishq karne ki koi naseehat mat dena ‘yogs’,
Hum jaisa unka bhi na wo anjaam ho jaaye.

yogs....

Read more...

Wo ram hai raheen hai ya koyi aur hai

Monday, September 29, 2008

Wo ram hai raheen hai ya koyi aur hai
mujhse zyada us kee bazuon men zor hai
us se dua mangti hoon tujh ko bhala kare
paon pe apne too har pal chala kare
zindagi bada de agar amar na kare
kabhi bhi maout tujhmen na ghar kare
sansen meri tujh ko apni udhar doon
mera abs chale to musibat ko mardoon
mere liye zinda rahana tera lazmi hai
gar tu theek nahi to kaheen meriduaon men kami hai
an zaroori hai meri duaon main asar ho
main kitna ro rahee hoon khuda ko khabar ho
tujh ko beemari see ab to nizat de
meri duaon ka kuch aisa hi asar ho

Read more...

Wednesday, July 9, 2008

Read more...

kuchh apne halaat............

Tuesday, July 8, 2008

Hi Frnds, Well this is my 1st post here, jo aapko kafi kuchh mere bareme bata degi, baki jab jab mulakate hoti rahegi tab tab batata rahunga..................

hashane pe has deta hoon par tanhai men aansoo utaar leta hoon,
iss tarah se apni zindagi ke bache huye din main gujaar leta hoon,

har shaam yaadon men usse ruth kar tanha maine rahenaa chaha,
har shaam yaadon men uski toot kar tanha maine bahenaa chaha,
shaam se kisi bhi bahane aise thodi tanhai main udhaar leta hoon,
iss tarah se apni zindagi ke bache huye din main gujaar leta hoon,

baughon se aksar phoolon ki jagah mujko kachchi kaliyaan hi mili,
jis or bhi maine kadam badaye bas kanto se bhari galiyaan hi mili,
un kaanto se bhi kabhi kabhi apni duniaa main sanwaar leta hoon,
iss tarah se apni zindagi ke bache huye din main gujaar leta hoon,

jab kabhi us se pyaar manga to chaahat se hamesha kum hi mila,
khushi ke badle khushi mangi to badle men hamesha gum hi mila,
aaj bhi kahi thodi khushi dikhe naam uska main pukaar leta hoon,
iss tarah se apni zindagi ke bache huye din main gujaar leta hoon,

umte the jo dil men kabhi ishq ke un arman ko chakna choor kiya,
jis raah pe padi ishq ki parchaiyan un rahon ko khud se door kiya,
jo kar di thi kabhi anjane se un bhulon ko main sudhaar leta hoon,
iss tarah se apni zindagi ke bache huye din main gujaar leta hoon,

hashane pe has deta hoon par tanhai men aansoo utaar leta hoon,
iss tarah se apni zindagi ke bache huye din main gujaar leta hoon.

yogs....

Read more...

Dard

Monday, April 7, 2008

Andheri raat
guzar bhi jaayee...
kuchh bondein..
rah jaati hain patton par...
patte
sisak rahe hon jaise...

dard apni nami chhod jata hai...

waqt badalte magar
der nahin lagti..
zara si dhoop lagte hi
patte chamak utnte hain..
thande pade rishte ko
garmi mili ho jaise..

dard ki haisiyat kya hai!!

Read more...

Aisa nahi ki humko Mohabbat nahi mili

Wednesday, April 2, 2008

1:- Aisa nahi ki hamko mohabbat nahi mili,
Beher - 221-2121-1221-212

Aisa nahi ki humko Mohabbat nahi mili
Thi jiski aarzoo,wahii daulat nahi mili

jo dekh le to mujhse kare rashk zamaanaa
Sab kuch mila magar wohii qismat nahi mili

Ghar ko sajaate kaise,ye har ladhki seekhtii
Zinda rahe to kaise naseehat nahi mili

kisko sunaayeiN qissa yahaan, tere zauf ka
kahte haiN hum sabhi se ki aadat nahi mili

Dekha giraa ke khud ko hii qadmon main uske aaj
“Shrddha” naseeb main tujhe qurbat nahi mili

ऐसा नहीं कि हमको मोहब्बत नहीं मिली
थी जिसकी आरज़ू वही दौलत नहीं मिली

जो देख ले तो मुझसे करे रश्क ज़माना
सब कुछ मिला मगर वही क़िस्मत नहीं मिली

घर को सजाते कैसे,ये हर लड़की हैं सीखती
ज़िंदा रहे तो कैसे नसीहत नहीं मिली

किसको सुनाएँ क़िस्सा यहाँ, तेरे ज़ॉफ का
कहते हैं हम सभी से कि आदत नहीं मिली

देखा गिरा के खुद को ही क़दमों में उसके आज
“श्रद्धा” नसीब में तुझे क़ुरबत नहीं मिली

Read more...

Aasteen Ka Saanp

Thursday, January 17, 2008

Aasteen Ka Saanp

Aasteen mein saanp chhipe na jaane kitney,
Hum rahe be-khauff yun begaane kitney.

Apne hi hamraaj hame samjhaane nikley,
Khaaya kiye yun chote rahe anjaane kitney.

Nafrato.n ke saaye mein, ham Tanha-Tanha,
Rishte lagte ho gaye, veeraane kitney.

Saajisho.n ko haadsa tha samjha kiye ham,
Yun Bane anjaane mein anjaane kitney.

Sarak gaya jab parda aankh se harsoo.n jaanib,
Toote sab rishte, bane fasaane kitney.

Maanga kiye chiraago.n se jab roshani toh,
Hamse yun karte rahe bahaane kitne.


~~~*HARASH MAHAJAN ‘HARSH’* ©~~~~

Read more...

  © Blogger template Brownium by Ourblogtemplates.com 2009

Back to TOP