haath uThe hai.n magar lab pe duaa ko_ii nahii.n- Ahmed Faraz

Wednesday, May 23, 2007

haath uThe hai.n magar lab pe duaa ko_ii nahii.n
kii ibaadat bhii vo jis kii jazaa ko_ii nahii.n

[duaa = prayer; jazaa = reward]

ye bhii vaqt aanaa thaa ab to gosh har aavaaz hai
aur mere barbaad-e-dil me.n sadaa ko_ii nahii.n

aa ke ab tasliim kar le.n tuu nahii.n to main sahii
kaun maanegaa ke ham me.n bevafaa ko_ii nahii.n

vaqt ne vo Khaak u.Daa_ii hai ke dil ke dasht se
qaafile guzare hai.n phir bhii naqsh-e-paa ko_ii nahii.n

[dasht = desert/wildnerness; qaafile = caravans]
[naqsh-e-paa = footprints]

Khud ko yuu.N mahasuur kar baiThaa huu.N apanii zaat me.n
manzile.n chaaro.n taraf hai raastaa ko_ii nahii.n

[mahasuur = surrounded; zaat = self/one's personality]

kaise raasto.n se chale aur kis jagah pahu.Nche 'Faraz'
yaa hujuum-e-dostaa.N thaa saath yaa ko_ii nahii.n

[hujuum = crowd]

AHMED FARAZ

1 comments:

श्रद्धा जैन May 23, 2007 at 9:33 PM  

sukriya saqib ji Ahmad faraz ji ki gazal sabke beech lane ke liye

umeed hai ki roj naye naye shayron ki nayi aur umda gazal padhne ko milegi

apna khyaal rakhe

Post a Comment

  © Blogger template Brownium by Ourblogtemplates.com 2009

Back to TOP