Tuesday, May 22, 2007
"TUM"
By Neha Parikh
Yeh pal pal ka chalna,
fasla khatam na karega,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe woh kal na milega!
Yeh koi gaata hai,
ya namaaz padta hai,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe alag khuda na milega!
Yeh guzarti hui raat hai,
ya nikalti hui sehar,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe humsafar na milega!
Yeh Baarish ki boondein hain,
ya aankhon ke aansoon,
Tum kitna bhi chaho,
inhe thaamne wala na milega!
Yeh dil ke tukde hain,
ya aap ki yaadein,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe marham na milega!
Yeh dil mein armaan hain,
ya sulagte hue sholey,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe sehra mein paani na milega!
Yeh kaisi uljhan ban gayee hai,
dil ki dhadkan,
Tum kitna bhi chaho,
tumhe sukoon na milega!!"
2 comments:
sukriya rajiv ji itni sunder kavita lane ke liye
aapka shayog hamesha milta rahega umeed hai
apna khyaal rakhiyega
Ohhh man... tooooo good... You've got awesome collection shraddha... keep up the good work!!
Post a Comment